Tuesday, 7 October 2014

Badam ke Faide Almond Benefits Urdu Roghan Badam Shirin Oil

Badam Health Benefits: Medical experts ke mutabiq almond oil health ke liye behtareen hai. Chehre par badam ke oil ki malish se chehra fresh nazar anay lagta hai. Ye tareeqa mazi mein bohat maqbol tha. Sub se pehle chehre ko milk mein bheege cotton se saaf karain, safai ke doran is baat ka khayal rakhain ke ragar na zayada halki ho aur na zayada tez darmiyani dabao rakhain. Ab neem garam roghan badam mein arq-e-gulab ke chand qatre shamil kar ke chehre par massage ke andaz mein halki halki malish karain aur ye amal 5 minute tak jari rakhain. Is tarah chehre ki warzish bhi ho jaye gi aur chehre par nazar ane wali wrinkles bi ahista ahista khatam ho jayain gi. Jild bhi haseen aur young rahe gi.

Badam mashoor mewa hai aur sub log isay shoq se khate hain. Qadeem zamane se is ki kasht ki ja rahi hai. Urdu, Persian aur Hindi mein badam hi ke naam se mashoor hai. Par english mein isay Almond kehtay hain. Badam uganay wale mulkon mein Pakistan bhi shamil hai badam ki kasht quetta, kalat division mein zayada ki jati hai.
Almond Milk
Types: Almond ki 2 types hain. Aik talkh aur dusra meetha. Almond tree amooman 20 se 25 foot tak aur kayi dafa is se bhi zayada lamba hota hai. Almond Leafs uper se choray aur nechay se tang aur gunjan dane dar hote hain. Fruit jub kacha hota hai tou green color ka hota hai. Andar ki giri mazay mein mamooli si khati hoti hai. Jub phal pak jata hai tou uper ka chilka phat kar alehda ho jata hai aur guthli asani se mikali jati hai. Jismani kamzoori ke liye badam bohat mufeed hai.

Ye khoon paida karta hai is ka mazaj garam tar hai. Dimaghi kaam karne walon ke liye anmool tohfa hai. Brain aur eyes ko taqweeyat deta hai. Kanon mein awazain anay lagain tou Almond oil ke chand qatre dalne se takleef door ho jati hai. Badam khane se taqat ati hai ye pure badan ki khushki ko door karta hai. Parhne wale bachon ko badam zaroor khilane chahiyain.

Health: Woh young girls aur boys jo kamzor sehat ke hon un ko chahiye ke 12 badam aur 12 gram Kishmish raat ko pani mein bhigo dain aur subah uth kar kha lain. Is se jismani kamzori door ho gi aur health bhi theek rahe gi. Badam ke phool bare khoobsurat hote hain white flowers mein red color bohat pyara lagta hai. Isay soonghne se dil aur dimagh mein farhat ka ehsas hota hai.

Beauty: Karway badam jild ki bimariyon ka shafi ilaj samjhe jatay hain, khas toor par eczema treatment mein, is maqsad ke liye karway badam lay kar unhain pees lain us mein thora sa pani pani aur cream bhi milayain, ameeza tayar karne hone par usay mutasira hison par lagayain, is ke ilawa almond khawateen ki khubsurati mein bhi aham kardar ke hamil hain. Agar aap ke chehre par pimples hain tou badam un pimples ko khatam kar ke jild ko aur bhi beautiful bana detay hain.

Hamare haan kaghazi badam famous hain. American almond ki giri bari aur meethi hoti hai. Kandahari badam aur Irani almond bhi bohat pasand kiye jate hain. Meethay aur karway badamon ke darakht alehda alehda hote hain. Hamare haan kathay badam ki giri mein khubani ki giri aur karway badam mila diye jate hain youn adhay se zayada almonds karway nikalte hain.

Winter Season: Sardi ke mausam mein is ka istemal kiya jaye tou nazla nahin hota. Jin logon ki kamar mein dard rehta ho unhain chahiye ke raat ko sotay waqt baqaidgi se kamar par roghan badan ki malish karwain aur apni ghaza mein is meway ko shamil karain. Khushk kharish ke liye bhi is ka istemal behtar hai. Is ki rozana malish se kharish door ho jati hai. Raat ke waqt malish kijiye. Is ke khilkon ka tail red colour ka hota hai ye oil safaid dhabon aur daghon par malne se un ko door karta hai.

Badam ki barfi bhi banti hai. Doodh mein isay pees kar milatay hain, khoya ban jaye tou isay jama kar pista aur badam kaat kar uper lagate hain. Isi tarah badam kay paray bante hain, aur ye mithai mein bhi istemal hota hai.

Galay Mein Balgham: Bohat se log galay mein balgham ki shikayat karte hain aur din bhar khankar kar gala saaf karte hain is ko nazla bhi kehte hain. Aisay log rozana subah nahar munh badam 5 adad kali mirch 3 adad ke sath khoob chaba kar kha liya karain. Jo log ye amal apni zindagi ke aghaz se mamool bana laitay hain. Woh dimaghi aur asabi kamzori se mehfooz rehte hain aur unhain balghi amraz aur nazar ki kamzoori nahin hoti.

Khushk Khansi Aur Galay Ki Kharash: Khush khansi aur gale ki kharash wale log badam ko namak laga kar chaba kar khaya karain tou faida ho ga.

Neend Na Ana: Aksar logon ko zehni intishar ya dimaghi khushki ke sabab neend nahin ati jis se asabi tanao paida ho jata hai. Dimaghi kaam karne walon, dimaghi khushki ka shikar aur is sabab neend na anay walon ke liye bhi ye mufeed samjha jata hai.

Students Ke Liye: Jo talib ilm parhte hain magar unhain yaad nahin rehta tou aisay talba ko daily 7 badam taza pani mein raat bhigo kar subah cheel kar kha laina chahiye.

Roghan Badam Shirin: Badam ka roghan bhi kasheed kiya jata hai jo medicines jese asrat rakhta hai. Ye roghan anton ki khushki ko door karta hai. Jism ko tawanai deta hai, neend lata hai.

Wazan Barhana: Woh naujawan jin ka wazan apni umar aur qad ke mutabiq kam ho woh maghaz badam meethay 10 adad, kishmish sabz 2 tolay lain aur inhain raat ko fresh water mein bheego diya karain subah badam cheel karkishmish ke sath chaba kar kha lain aur 1 glass milk pee liya karain ye amal 2 months ka hai isay musalsal kiya jaye wazan barh jaye ga aur  health achi ho gi.

Dimagi Taqat: Brain Power: Jo log dimaghi kaam karte hain maslan study karte hain, journalist hain ya accounts ka kaam karte hain. Amooman dekha gaya hai ke likhne ke baad ya duty khatam hone par jub uthne lagte hain tou sar mein chakar atay hain. Eyes ke samne andhera cha jata hai aur kisi cheez ka sahara lay kar uthtay hain jis ki wajah dimaghi kaam ki kasrat se dimaghi kamzori hoti hai aisay log rozana 10 adad maghaz badam shirin khoob chaba liya karain.

0 comments:

Post a Comment