Tuesday, 7 October 2014

Carrot Benefits Urdu Gajar Ke Fawaid Carrot Juice Gajar

Carrot Benefits In Urdu: Gajar bari famous vegetable hai jisay bare shoq se khaya jata hai. Gajar woh sabzi hai jo phalon main shumar ki jati hai mojuda door main yepakane aur kachi khane aur achar banane ke ilawa gajar ka juice bazaron main aam farokht hota hai ye aik jar hai  jo sabzi ban jati hai carrot ki 3 types hain.
  1. Safaid
  2. Surkh
  3. Sharbati
Isay batoor salan aur salad 2 tarah se khaya jata hai. Kachi gajar bhi tasty hoti hai. Gajar ka halwa bhi behtareen banta hai aur agar is main zafran daal diya jaye tou ye aur bhi mazedar ho jata hai.
Surkh zard aur kali gajrain aam toor par bazaron main dastyab hain. Urdu, punjabi, gujrati aur hindi zuban main isay gajar kehtay hain. Pashto aur bangla main gazar aur english main carrot aur latin zuban main daueus  carota kaha jata hai. Pakistan aur India main iska istmal sadyon se kiya ja raha hai. Isay kacha bhi khaya jata hai aur paka kar bhi. Ye har tarah se health ke liye mufeed hai.
Gajar Ke Faiday: Is main (Vitamic B, C), Iron, Lime, Phosphorus, Starch, Glucose wagera ajza paye jatay hain. Is liye jism ki tameer aur parwarish aur qayam sehat ke liye ye mufeed tareen sabzi hai. Experiments se waziha howa hai ke chunay ke jis qadar ajza rozana jism se kharij hote hain woh gajar se hasil ho sakte hain. Is ka mizaj garam tar hai. 2 - 3 hours main hazam ho jati hai. Gajar khane se jism ko itni ghazait mil jati hai jo aik waqt ke khane ke barabar hai. 100 gram carrots main 25 harare (Enzymes), 1 gram (Protein),  6 gram nashasta aur 3 gm (Fibre) paya jata hai 12000 micro gram keratin (woh protein jo baal banata hai) bhi hoti hai jo badan main ja kar Vitamin A ban jati hai.

Gajar har jagah asani se milti hai, qudrat ne is sabzi main bohat fawaid jama kar rakhe hain lekin hum main se aksar log in se bay khabar hone ki wajah se gajar ke fawaid sepri tarah faida nahin uthate balkeh khuch log tou gajar ka salan ka naam sun kar hi munh bigarne lagte hain. Experts ke mutabiq gajar main rangat main nikhar paida karne aur jild ko nayi dilkashi dene ki khasiat mojod hai. Ye khoon saaf karne aur skin ko surkhi mayel karne main bohat aham kardar ada karti hai. Lihaza apni rangat nikharne aur dilkashi main izafe ki khawahish mand khawateen ko ye vegetable kasrat se use karne chahiye. Khasusan isay bhaap ya pani main boil kar ke use kiya jaye tou jild main kafi had tak dilkashi aur nikhaar paida ho jata hai aur is ke muqable main qeemti face creams bhi aisa jadu asar nahin dikha sakti. Aaj kal bazar main chinese carrots available hain jinhain ubaal kar istmal main laya jata hai. Garmiyon main womens chinese dishes zayada banati hain un khanon main gajron ka istmal kasrat se kiya jata hai warna khane ka sawad adhura hi rehta hai.

0 comments:

Post a Comment