Wednesday 2 April 2014

Neem Benefits Urdu Neem Ke Faide Oil Neem Leaf Skin Face Hair Toner Acne

Neem Benefits Urdu - Neem 4000 years se skin care aur skin ki beauty barhanay ka azmuda nuskha mana jata hai. Neem ke leaf seeds aur roots yahan tak ke neem oil main bhi herat angaiz fawaid posheda hain jin se mukhtalif diseases ka ilaj kiya jata hai. Neem ke patton aur jaron ko pees kar na sirf face ki khubsurati bahal ki ja sakti hai balkeh is ko zakham par lagane se zakham bhi teezi se bhar jata hai, Experts ke mutabiq neem jaraseem kush medicine hai.
Neem Leaf: Neem ke patay asani se hasil kiye ja sakte hain aur skin ki khubsurati main char chand lagane ke liye un ka istemal bhi behad asaan hai. Aap ko bas ye karna hai ke 2 liter pani main taqreeban 50 patay daal kar is had tak boil kar lain ke neem ke patton ka har rang baqi na rahe. Ab us pani ko thanda hone par bottle main bhar lain. Neem water ka best use ye hai ke ghusal ke pani main thora sa neem ka pani bhi shamil kar lain takeh jild par mojod nuqsan pohanchane wale tamam jaraseem se chutkara kil jaye. Is ke ilawa neem leaves boil water  aap ke liye behtareen "skin toner" sabat ho sakta hai. Rozana raat main sonay se pehle neel ke pani main roi bhigo kar chehra saaf karna bohat fayeda mand hai is se dagh dhabon keel mahasol aur acne ka khatma hota hai aur aap ki jild dilkash aur chamakdar nazar ati hai. Neem sirf chehre ki khubsurati ke liye hi nahin hairs ki growth main bhi important role rakhta hai. Is ka pani balon ko girne aur dandruff ka bhi khatma kar deta hai. Neem ke leaves ko ubalnay ke baad pees kar bhi use kar sakte hain.

Beauty Tips: Neem ka istimal karne ka tareeqa bhi asan hai. Narangi ke chilkon ke sath neem ke patay ubaal kar pees lain aur is main dahi (yogurt), shehad (honey) aur doodh (milk) shamil kar ke ameza bana lain. Us amezay ko har tarah ki skin par use kiya ja sakta hai. haftay  main 3 baar isay istimal karne se dagh dhabon aur danon ka khatma hota hai aur chehre ki khushki aur izafi oil bhi matwazan surat iktiyar kar letay hain. Is tarah balon ki khushki aur rukhapan door karne ke liye bhi mukhtalif methods use kiye ja saktay hain for example neem leaves boil kar ke pees lain aur shehad mila kar balon par lagayain. Ye amezah natural conditioner ka kaam kare ga aur aap ke hairs silky aur chamakdar nazar ayain gey.

Neem Oil and Neem Seeds: Aaj bhi hazaron tarah ki medicines maslan sar dard, kaan dard, bukhar, zakham, quwat madafat barhane wali aur jalay howe zakhmon ki duwaon main khaas toor par use hota hai. Neem ka tail aur beej ke mufeed ajza ka beauty products main bhi use aam hai aur womens qudarti toor par neem ke paton se fayeda uthane ke sath sath neem ki khasusiyaat se bharpur cosmetics ka intekhab bhi kar sakti hain.

1 comments:

Unknown said...

nic

Post a Comment