Wednesday 2 April 2014

Dalchini Benefits In Urdu Dalchini Ke Faide Dar Cheeni Side Effects Weigh Loss

Dalchini Ke Faide: Mahiyat ke aitbar se aik darakht ki chaal hai jis ki rangat surkhi mayel yellow ya halki siyahi mayel hoti hai. Zaiqa qadre meetha talkhi liye hota hai. Dalchini ki kasht zayada tar Sri Lanka, Hindustan aur China mein ki jati hai. Dalchini types ke aitbar se 3 qisam ki hoti hai jo hujam aur colour mein mukhtalif hai. Hamare haan use hone wali China aur Sri Lanka ki Dalchini sub se umda aur khushbudar hoti hai. Is ka mazaj garam khush darja daum hota hai.
Dalchini Benefits: Medical Science ki tehqeeq ne bhi is ko bohat ahmiyat di hai is ki wajah ye hai ke is mein shamil oil intihai Lateef ajza ka murakab hota hai. Ye ajza stomach aur anton par asar andaz hote hain jis se stomach aur anton ko faida hota hai.
Badhazmi: Khanay ka sahi tor par hazam na hona, pait phulna, bhook sahi tor par na lagnai aisi suraton mein roghan Darchini ke 3 se 5 qatre shakar mein mila kar Neem garam pani se dena mufeed hota hai.
Dant Ka Dard: Roghan Dalchini mein roi ka tar kiya hua phaya lagana teeth pain  ke liye mufeed hota hai is se dant ka dard khatam ho jata hai.
Doodh Hazam Na Hona: Baaz logon ko Milk hazam nahin hota aur log is ko badi hone ki shikayat karte hain. Aiay log agar 1 liter milk mein daar cheeni 3 gram ka safoof mila kar usay josh de kar piyain tou us se na sirf doodh hazam ho ga balkeh digestive system bhi behtar ho ga.
Khansi: Jin logon ko khansi ki shikayat ho wo dalchini 1 gram pees kar Shehad (2 chamchay) ke sath subah sham khayain.
Alergy Ka Nazla Zukam: Mahol Ki Alodgi khasoosan fazai aloodgi ki wajah se nazla zukam aur chenkain anay ka arza aam ho gya hai. Baaz logon ke subah hote hi naak se pani behna shuru ho jata hai un ke liye ye dalchini bohat faide mand hai.
Hichki Ka Ilaj: Hiccups: Daar Cheeni tab bhi bohat behtareen hai jub hichki lagi ho aur is ke ilawa sardi ka dard sar ho tou mathay par lagana mufeed hai.
Hazma: Dar Cheeni ka aqr hazma ke liye bhi behtareen hai aur yarqan mein mufeed hai, bhook barhata hai.
England ke aik hospital mein aik doctor ne sartan ke patients ko zayada quantity mein daar cheeni ka istemal karaya tou us ke khatir khawa nataij samne aye taham abhi mazeed aur hatmi tehqeeq ke liye kaam jari hai.
Dalchini Ka Istemal: Muqarara maqdar mein mufeed  hota hai albata is ka bakasrat aur dair tak istemal munasib nahin hota balke ye qabz ka sabab ban jati hai.

0 comments:

Post a Comment