Wednesday 2 April 2014

Fish Ke Faide In Urdu Machli Fish Oil Benefits in Urdu Omega 3 Fatty Acid

Urdu Benefits Fish Ke Faide Urdu Machli ka tail istmal karne se bache zaheen ho jate hain un mein susti ka ansar kam ho jata hai aur ye aam bachon se zayada teez kaam karte hain. British scientists ke mutabiq machli ka omega 3 fatty oil samandri keeray makoron mein bhi paya jata hai. Fish oil mein mojood qudarti gazait na sirf binai teez karti hai balkeh quwat-e-hafiza behtar banane mein bhi aham kardar ada karti hai. Tibi mahireen ka kehna hai ke machli ke tail ka istmal high blood pressure ke mareezon ke liye intihai mufeed hai. Is mein mojood Omega 3 qudarti toor par khoon patla karne ki salahiyat rakhte hain jis se na sirf blood pressure ki satah hamwar ho jati hai balkeh ye hyper tension samait amraz-e-qalb ka bhi mosar zariya hai. Blood pressure ki na hamwar satah hyper tension ka sabab banti hai jabkeh fish oil ka use is bimari se larne ki salahiyat rakhta hai. Is ke ilawa ye masorhon ki bimari ke khatrat ko kam karta hai.
Machli ko behtareen andaz mein mehfoz rakhne ke liye khuch kaar amad tareeqay paish kiye jatay hain jis se machli ke zaiqay aur banawat mein na hi koi farq aata hai aur machli kafi arsay tak ke liye zakhira ki ja sakti hai.

Machli ko mehfooz rakhne ke liye zaroori hai ke aap machli khareedne ke baad usay achi tarah dho kar aik plastic ke bowl mein barf ke uper rakh dain aur is bowl ko freezer mein mehfooz kar lain aur istmal se half hour pehle nikal kar istmal mein layain.

Amooman aisa mana jata hai ke sea food ko khareedne ke 2 din baad hi istmal kar laina chahiye ya masalajat laga kar pakana chahiye. Aur agar aap is doraniye mein istmal na karna chahain tou machli ko freeze reaper ya plastic ke paper mein lapait kar freezer mein freeze kar lain aur zaroorat parnay par freezer se nikal lain.

Machli Ko Agar namak aur sirka laga kar rakh diya jaye tou bhi us ko ba asani mehfooz kiya ja sakta hai.

Taza machli ko store karne ke liye aik mufeed tareeqa ye bhi hai ke machli ke tukre ki satah ko geelay kapre se achi tarah saaf kar lain. Agar machli mukamal hai tou us ko mukamal toor par dho kar khushk kar lain phir machli ko kisi band kanastar mein rakh kar fori toor par freezer mein 34 - 36 Fahrenheit par freeze kar lain.

0 comments:

Post a Comment