Wednesday 2 April 2014

Doodh Ke Faide In Urdu Camel Milk Benefits Camel Meat Ke Faide

Doodh Ke Faide- Milk Benefits In Urdu: Ye baat sabat ho chuki hai ke camel meat insani jism ki nashunuma mein bohat muawan hai. Is ke istmal se baal ghanay aur lambe, hadiyan mazboot aur cholesterol qabu mein rehta hai. Tibi mahireen ka kehna hai ke oonth ke gosht mein protein ki maqdar 86% hoti hai. 100 gram camel ka gosht, eggs, paneer aur deegar ashya ke barabar tawanai faraham karta hai. Damay ke mareezon ke liye uunth ka gosht bohat faiday mand hai. Camel meat mein mojood ghazaiyat aur tibi fawaid samne anay ke baad is ke maand aur qeemat mein teezi se izafa ho raha hai. Aik camel mein ausatan 300 se 700 kg tak gosht hota hai. Marrakesh ke logon ka kehna hai ke uunth ke meat mein hum masala nahin dalte isay pani mein thora sa namak daal kar halki aanch par ubaaltay hain. Is ki ye khasiyat hai ke isay jitna sada tareeqay se pakaya jaye utna hi lazeez hota hai.
Yahan log aaunth ki charbi ka soup banate hain jo bohat hi lazeez aur taqatwar hota hai. Yahan camel meat aur rice ki aik dish bohat shoq se khayi jati hai jisay "Altajean" kehte hain ye dish yahan par sadiyon se maqbool hai. Camel ke meat ki afadiat Hadees se bhi sabat hoti hai. Aik Hadees mein uunth ka gosht khane ke baad wazu karne ka bhi hukam howa hai. Is ki hikma ke bare mein tehqeeq hai ke uunth ke gosht mein intihai taqat aur hidat hoti hai aur thanday pani se aza dhonay se ye garmi aur hidat kam ho jati hai jis se is ka faida jism ko mil jata hai aur asaab aur nafsiyat par is ka asar nahin hota. Uunth ka gosht sirf Arab ya hum Muslims ki hi marghoob ghaza nahin hai balkeh Romi, Unan, Arfica, Iran, India, Chinese samait dunya bhar ke taqreeban tamam mumalik ke log oonth ka gosht khatay hain. Qadeem zamane ke log apne festivals aur events mein camel ki qurbani karte thay. Camel ki age jitni kam ho us ka meat utna hi mufeed hota hai. Marrakesh mein camel ki charbi se tayar karda atar ko gharon mein se snakes ko bhagane ke liye istmal kiya jata hai. 1 Camel se salana 5 kg oon hasil hoti hai. Us se kambal, kapre aur deegar ashya tayar ki jati hain.

Cow milk ke muqable mein camel milk kam chikna hota hai yani us mein jamne wali chiknai (saturated fat) ki maqdar nisbatan kam hoti hai jabkeh gaye ke doodh se uuntni ke doodh mein iron ki maqdar 10 guna aur Vitamin B ki maqdar 5 guna zayada hoti hai aur us ka garha pan aur halka texture mazaydar ice cream banane mein zayada madadgar hota hai. Mashriq-e-wusta ke mulkon mein uunthni ke milk se tayar shuda ice cream bohat maqbool hai aur ab England mein bhi dastyab hai lekin ye ice cream sasti nahin hai taqreeban 500 pak rupees mein milti hai lekin sehat ke liye ye zayada mehnga soda nahin hai kyoun ke camel milk ke medical benefits bohat sare hain jis mein sub se aham ye hai ke ye khoon ke madafti nazaam ko tawana rakhta hai kyoun ke is mein immunoglobulins hote hain jo darasal wese hi antibodies. Camel milk se tayar icecream mein chiknai ki maqdar 2% se 5% hoti hai jabkeh dusri ice cream mein chiknai 6% se 9% hoti hai. Cow milk ke muqable mein is mein Vitamin C bhi 2 guna zayada hota hai jo taqatwar Antioxidant samjha jata hai.

0 comments:

Post a Comment