Tuesday 7 October 2014

Zaitoon Oil Benefits Urdu Olive Oil Zaitoon Ke Fawaid Zaitoon Ka Tail

Zaitoon Oil Benefits Urdu - Zaitoon yani Olive Oil sehat ke mamlay mein kitna aham hai is ka andaza aap ko andaza tab ho ga jub aap is ka istemal karain gey. Is ke tree ke tamaam ajza bhi karamad aur shafa bakhs hain. Quran Majeed main 6 muqamat par isay achay namon se yaad kiya hai, Aik muqam par tou Allah ne zaitoon aur anjeer ki aik sath 6 qasam khai hai. Ye paak saaf aur mubarak hai is main 70 bimariyon ke liye shafa hai jin main aik bawaseer hai.
Tareekh alam ki haseenayain bhi roghan zaitoon ka bohat zayada istmal kiya karti thien. Aaj bhi france ki aurat ki jild angreez auraton se zayada tar-o-taza aur dil kash nazar ati hai. Is ki wajah ye hai ke France ki aurat jism aur chehre par olive oil ke massage ke sath usay apne khane main bhi use karti hain.

Aik tehqeeq ke mutabiq woh log jo khanon main salad ke zariye zaytoon ka tail istmal karte hain woh dimaghi doray ke khatre se kam dochar hote hain. Is tehqeeq ke liye France ke citizen par 5 years tak tehqeeq jari rakhi gayi.
Olive Fruite and Leaves
Zaitoon ka darakht european countries main kasrat se paya jata hai. ye tree 9 meter se 10 meter lamba hota hai. Is ka phal pakne ke baad dabane se us main se tail nikalta hai. Chotay bachon ko har roz agar olive oil ki malish ki jaye tou jism ki hadiyon main mazbuti aur jild mulaem rehti hai. Spain main aik kahawat hai ke zaitoon ka tail har bimari ki dawa hai. Agar isay sar main laga liya jaye tou ye baal girnay se rokta hai. Ankhaon main laga lainay se pani band ho jata hai isi wajah se is ka shumar khush naseeb phalon main hota hai.

Agar aap ke nails aur cuticles kharab ho gaye hain aur fingers ke nails bhi asani se tootne lagte hain tou s ke liye 1 cup main zaitoon ka oil dalain aur apni ungliyon ke nakhun ko us cup main thori dair ke liye dooba rehne hain. Us ke baad chand days ke use se apne nails na sirf tootne se mehfooz rahain gey balkeh nakhonon ke paas ji skin saaf sur chamakdar bhi ho jaye gi.

Khushk aur phatay howe honton se chutkara pane ke liye aap olive oil ki thori si maqdar ko raat ko sone se pehle apne lips par lagayain is se apne hont pur kashish aur khubsurat nazar ayain gey.

Zaitoon ke tail ko sar ke balon ki jild aur hairs par achi tarah laga lain aur apne balon par plastic ki bay rang topi charha lain. Phir half hour ke baad kisi ache shampoo se hairs ko wash kar lain is se aap ke baal pur ronaq, khushki se pak aur reshmi ho jayain gey.

Apne hathon ko narmi bakhsne ke liye hathon par ahishtgi ke sath massage karain. Is se apne hands na sirf soft aur beautiful ho jayain gey balkeh aap ke hathon ke masamon ko bhi sakon pohanche ga.

Bath tub main thori maqdar main zaitoon ka tail daal kar nahane se aap ki jild din bhar naram aur mulayem rahe gi. Aap zaitoon ke tail ko malmal ka kapra ya kapas par laga kar apne chehre ke make up ko easily saaf kar sakti hain.

Balon ko shampoo karne ke baad barabar maqdar main zaitoon ka tail aur water mix kar lain aur hairs main 5 minute ke liye achi tarah laga kar massage kar lain. Phir shampoo kar ke balon ko achi tarah dhoo lain is se na sirf aap ko balon ki khushki se nijat mil jaye gi balkeh ye amal aap ke hairs ko ghana karne main bhi helpful sabat ho ga.

Aik plastic ke bartan main zaitoon ka tail dalain phir us main munasib maqdar main namak aur cheeni daal kar usay achi tarah mix kar lain aur phir us amaizay ko apni jild par laga kar batoor Body Scrub jild par massage karain. Is se aap ki jild ko ranai milay gi aur haseen ehsas bhi mehsoos ho ga.

Aap ke chehre ki jild par agar jhuryan nazar anay lagain tou ye baat aap ke liye bohat preshan kun sabat hoti hai. Lihaza face se jhuryon ke khatmay aur apni jild ko pur kashish banane ke liye sham ke waqt baqaedgi ke sath zaitoon ke oil ki thori maqdar apni hatheli main lay kar uska massage karain.

Kapas ya malmal ke kapre se olive oil ko eyes ke gird lagane se ankhon ki badnuma jhuryan door ho jati hain. Lekin zaytoon ka tail ko aankhon ke hison par lagate howe ahtyaat bartain takeh us se aap ki ankhon ko koi nuqsan na bohanche aur aap zayada arsa jawan nazar ayain.

0 comments:

Post a Comment