Tuesday 7 October 2014

White Salt Benefits In Urdu Safaid Namak Ke Faide

Namak Ke Fawaid Aur Nuqsanat: Tandrusti ki hifazat zindagi ki baqa aur khane ko lazeez banane ke liye namak ghaza ka aik zaroori juz hai. Har qisam ka masala dala jaye tou ghaza bilkul bad mazah aur pheeki aur bekaar ho jati hai. Mukhtalif tajarbat se sabat howa hai ke ghaza mein namak shamil karna behad zaroori hai kyoun ke ye hazmay ko barhata hai, bhook lagata hai, garam khushk aur qabz kusha hai. Quwwat-e-hazam ke liye mufeed hai, is ke ilawa namak khati dakaron ko rokta hai, bad hazmi aur pait ke dard ko door karta hai.

Agarcheh namak khoon ka aik zaroori juzu hai phir bhi is ka bakasrat istemal muzhar-e-sehat hai. Zayada khane se marz sartan, basarat mein kharabi aur nuqs paida karta hai. Is liye isay moatdal maqdar mein instemal karna chahiye. Ye amar tehqeeq shuda hai ke amraz-e-chashm mein namak ka istemal nahayat muzhar hai. Taqreeban 2400 miligram namak aik moatdal maqdar hamari ghaza mein tasawar ki jati hai. Lekin hum mein se beshtar is maqdar se kahin zayada namak apni rozana ki khoraak mein istemal karte hain. Namak ko kaan se nikalne ke baad factories mein khane ke qabil banane ke liye shafaaf bayaya jata hai aur safai suthrai ke mukhtalif marahil se guzara jata hai takeh is mein sodium chloride aur dusre mufeed ajza hi baqi reh jayain. In dusre ajza mein calcium silicate aur dextrose shamil hain. Jahan namak hamare jism mein mukhtalif kaam sar anjaam jese electrolyte ki maqdar ko matwazan karne ke liye zaroori hai wahin is ki zayada maqdar jism ko mukhtalif bimariyon se do char karne ka bhi sabab banti hai.
Pani Ki Maqdar: Khoraak mein namak ki zayada maqdar hamare jism mein mojood bafton mein pani ki maqdar ko barha deti hai. Jub jism mein namak ki maqdar aik khaas tanasab se barh jati hai tou khuliye apne andar mojood pani ki maqdar ka akhraj zayada kar dete hain ta keh sodium ki zayada maqdar ko tehleel kiya ja sake. Is tarah se pani bafton mein hi thehr jata hai kyoun ke jism pani aur namak ki maqdar ko matwazan karne par karfarma hota hai.

High Blood Pressure: Khuch logon ke jism mein hign blood pressure ke hone ke zayada imkanaat paye jate hain aur ye morosi bhi ho sakte hain. Lihaza khane mein namak ki zayada maqdar aisay logon ke liye blood pressure jese deegar masayel mein izafa kar sakti hai. Lihaza aisay logon ko chahiye ke apni ghaza mein namak ke istemal aur maqdar par kari nigah rakhain. Jub khoon mein fashaar paida hota hai tou dil ka hamla heart attack, falij jesi bimariyon ka khatra aur zayada ho jata hai kyoun ke high blood pressure mein dil par khoon ke bahao ka dabao bohat zayada ho jata hai aur doran-e-khoon buri tarah mutasir hota hai.

Gurda Ke Amraz (Kidney Problem): Kidney sodium chloride ki zayada maqdar se sub se zayada mutasir hota hai. Namak ki be tahasha khoraak mein maqdar aur bohat se degar jismani amraz ka mojab banti hai aur dheere dheere hamara jism mukhtalif jaan lewa aur mohlik bimariyon ki list mein aa jata hai. Is liye tamaam ajza ko munasib maqdar mein istemal kiya jaye takeh aik sehat mand khushgawar zindagi guzari ja sake.

0 comments:

Post a Comment