Tuesday 7 October 2014

Health Benefits of Mango Urdu Mango Milkshake Aam Ke Fawaid

Benefits Of Mangoes in Urdu: Aam yani Mango fruite aik nahayat khush zayeqa aur lazeez fruite hai aur koi kitna bhi khud ko kyoun na rook lay lekin jub aam samne hon tou ye mumkin hi nahin rehta ke usay khaya na jaye. Mango paidawar aur raqba ke lihaz se Pakistan mein dusre number par aata hai aur taqreeban 160 hazar hectares area par kasht kiya jata hai. Punjab aur singh ki aab-o-hawa mango ki kasht ke liye bohat mozoon hai jab ke dunya bhar main mango kipaidawar main baresagheer pehle number par hai. Isay Aam ka ghar bhi kehtay hain kyoun ke yahin se mango pure world main mutarif howa. Aam ki paidawar main India sub se agey jub ke Pakistan ka number 5 hai. Mango ki baramad ke hisab se Pakistan ka shumar dunya ke chothay bare mulk main shumar hota hai. Zaiqay, taseer, rang aur bohat sare fawaid ki wajah se Aam aik hairat angaiz phal hai, jisay qudrat ke anmol tohfon mein shumar kiya jata hai, Youn tou is ki bohat sari qismain hain par aam toor par 2 iqsaam aham hain aik takhmi aur dusra qalmi.
Pakistani Mangoes
Taste ke sath sath mango ke bohat sare benefits bhi hain. Lu lagne ki surat main kachay pakay Aam ko garam rakh mein paka kar us ko pani aur shakar mein daal kar sharbat tayar kar ke use kiya jaye tou foran araam ajata hai.

Jin bachon aur baron ko study ke doraan yaad karne aur tawaja karne mein mushkil paish aati hai woh mango ka istmal karain is se cheezon ko yaad karne mein asani paida ho jati hai. Mango ke andar Glutamine Acid mojod hota hai jo ke yaadasht ko teez karta hai aur khulyaat ko mutehrik karta hai.

Chehre par keel mahason aur chaiyon ke liye mango ka use bay had mujarab hai. Aam ke nahayat bareek kashay kaat kar us ko face par 10 to 15 minutes ke liye rakhain aur us ke baad halke se garam pani se munh dho lain aap apne chehre par aik behtar tabdeeli mehsoos karain gey.
Mangoes main aik kaseer tadad main iron mojood hota hai. Woh log jin main khoon ki kami ho un ko apne khane ke sath Aam zaroor istmal karna chahiye. Sugar ke patients ke liye bhi mango nuqsan deh nahin balkeh faida mand hain kyoun ke ye bimari ke khilaf quwat madafat barhata hai na sirf Aam balke us ke patay bhi is bimari mein bohat fayeda mand hain. Raat ko sonay se pehle 10 se 15 Aam ke patay lain aur un ko garam pani mein daal kar thora sa nichorain. Subah uth kar pee lain aur baqaedgi se karain.

Aam mein aik bari quantity mein Antioxidants mojod hotay hein lihaza agar Aam ka istmal baqaedgi se kiya jaye tou us se jism main cancer aur dil ke arzon ke khilaf quwat-e-madafat paida ho jati hai.

Aam ke use se girti hoi nazar bhi bahal hoti hai kyoun ke us mein Vitamin A bakasrat paya jata hai jo ke ankhon ki sehat aur nazar ke liye behad mufeed hai. Ye raat ke andhepan se bhi bachata hai aur us ke ilawa eyes se behtay howe pani aur kharish ko bhi rokta hai. Jin logon ka weight bohat kam ho aur woh apna wazan barhana chahte hon un ko chahiye ke Aam ka zayada istmal karain.

0 comments:

Post a Comment