Tuesday 7 October 2014

Kalonji Benefits in Urdu Black Cumin Kalonji Seeds Oil For Health

Kalonji Ke Faide: Kalonji aik aisi buti hai jo ghaza bhi hai aur dawa bhi.  Kalonji main bohat sare amraz ka ilaj mojood hai. Bunyadi toor par Kalonji aik famous plant ke seeds hain. Is ka plant saunf ke plant se khuch mushabhat rakhta hai. Ye kalonji plant height mein taqreeban 45 cm tak hota hai. Is ke flowers ka colour blue hota hai aur shakhain bareek aur phalyan lambi hoti hain, Kalonji ke faide bohat zayada hain. Kalonjo ko english mein black caraway aur black cumin kehtay hain. Agar rozana ki ghaza mein is ka istmal kiya jaye tou bohat soodmand hota hai. Achar ki tayari mein bhi kalonji isi maqsad ke teht dali jati hai.
Kalonji Seeds Black Cumin Seeds
German scientists ne is kocancer mein bhi mufeed qarar diya hai. Tehqeeqat ke mutabiq ye anton ke sartan ko theek karti hai. Beroni toor par is ko sard amraz main bhi use kiya ja sakta hai. Nazla, zukam mein sirf is ke soonghne se faida hota hai. Is maqsad ke liye kalonji 2 gram, noshadar aur soonth do do gram ka safoof bana kar aik potli banayain, jis ko soonghne se naak ki bandish khatam ho jati hai.

Kalonji saans ke amraz mein bhi faiday deti hai, kalonji ke fawaid kitne zayada hain is ka andaza Hadith se hota hai. khasoosan dama ke amraz mein tou hairat angaiz toor par benefit pohanchati hai. Black cumin pait ke keeray halak karne ka behtareen zariya hai. Pait ke keeray kisi bhi kisam ke hon, is ka istmal bohat mufeed hai.

Qadeem zamane mein balon ki khubsurati par bohat zoor diya gaya hai. Kalay ghane aur chamakdar baal har aik ke liye pur kashish rakhte hain. Is ke use se hairs girna ruk jate hain. Is maqsad ke liye kalonji ko khoob bareek pees kar khuch dair balon ki jaron mein achi tarah laga rehne dain. Baad mein neem garam pani se dho lain. Kalonji hairs ke liye aik tonic ka kaam karti hai.

Chehre ke keel mahason ki shikayat mein bhi black caraway faidamand hai. Is ki sirka mein pees kar raat ko chehre par lagaya jaye aur subah dho liya jaye. Sirf chand days mein is nushkhay par amal karne se mahasay khatam ho sakte hain.

Qudrat ne hamain bohat tuhfay diye hain jin ko use kar ke hum khatar khawa nataij hasil kar sakte hain. Jitna hum asli aur qudarti cheezon se qareeb hon gey utna hi un se bharpur istifada kar payain gey. Malik-e-Kainat ki di hoi naimaton ko bharpur tareeqon se istmal karain, in ka faida uthayain aur Allah ka shukar ada karte jayain.

0 comments:

Post a Comment