Tuesday, 11 March 2014

Saffron Benefits In Urdu Zafran Ke Faide Zafran Ka Istemal Recipes

Saffron Benefits In Urdu: Zafran aik bohat hi khushbu dar naimat hai jis ki tarekh par nazar dali jaye tou ye pata chalta hai ke ye aaj se nahin balkeh qadeem zamanay se hi apni khushbu aur zaiqay ki wajah se pasand kiya jata hai. Agar is ki qeemat zayada hai tou saffron ke faide bhi zayada hain. Zafran mein aisay bohat si sifaat shamil hain jis ki wajah se mardon ki sehat ke liye tayar ki janay wali best medicines ka hamesha se juzu azam raha hai. Bu Ali Sina ne seenkron saal pehle zafron ko man health ke liye intifai mufeed aur faiday mand qarar diya tha. Saffron fruit misal kisam ke hota hai aur sub se shuru mein is par flower hi zameen se nikalta hai, us ke baad shakhain nikalnay lagti hain, saffron leafs chambeli ke paton ki tarah aur stems nargis ki tarah hoti hain.
Zafran Benefits
Qudrat ka ajeeb nazam hai ke jub koi insan saffron fields yani zafran ke kheet mein chala jaye tou wo bay ikhtiyar hansnay lagey jata hai isi liye kasht zafran aisa maqola mashoor hai. zafran ki taseer mein dusre darjay mein garam aur pehle mein khushk hota hai. Zafran mein wo anasar paye jatay hain jo mard ki sehat ke liye zaroori samjay jate hain. Aik mashoor angrez doctor ne aik book mein lakhi hai ke zafron ko hum ne tehqeeq ke naye marahil se guzara aur wo mard jo kamzoor health ke hotay thay un mareezon par is ke tajarbat kiye aur zafran se tayar karda dawai se wo sehat yab ho gaye.

0 comments:

Post a Comment