Arq-e-Gulab Benefits in Urdu Arq-e-Gulab ke faide: Rose Water Benefits: Mojooda daur mein insan qudarti ashya ke istmal se door hota ja raha hai. Chahe woh sehat ka mamla ho ya husn aur khubsurati ka har jagah artificial toor par tayar karda ashya istmal hoti nazar ati hain. In ashya ka istmal aarzi toor par faiday mand lagta hai lekin ahista ahista un ke side effects bhi nazar aana shuru ho jate hain. Yehi wajah hai ke ab dunya bhar mein jari butiyon aur deegar qudarti naimaton par bare paimanahy par tehqeeq ho rahi hai.
Ghar se bahir nikalte hi suraj ki tapish aap ki jild ko jhulsanay lagti hai aisay main arq-e-gulab ka istmal aap ki skin ko fresh rakhe ga. Daily din mein 1 martaba arq-e-gulab laga kar chehre aur gardan ko saaf kiya jaye tou us se jahan aik janib paseenay ke ikhraj mein kami ho gi wahin chehre par keel mahason ke nikalne ke khatrat bhi kam ho jayain gey. Make-up se pehle agar chehre ko achi tarah arq-e-gulab se saaf kar liya jaye tou make-up dair tak taza rahe ga. Rangat gori karne mein bhi rose water bohat mufeed hai. 20 gram arq-e-gulab 10 gram glycerine aur 1 lemon ka rus mila kar rozana raat ko lagayain aur 15 min baad thanday pani se chehra dho kar so jayain. Khuch dinon ke istmal se aap ko khud mehsoos ho ga ke rang mein numayan tabdeeli ayi hai. Chehre ki tazgi ka inhsar aap ki khubsurat muskurahat mein bhi hai aur is muskurahat mein honton ka kardar aham mana jata hai. Agar arq-e-gulab mein 1 chaye ka chamcha Zaitoon ka tail honton par lagayain zaitoon oil available na ho touitna hi shehad mila kar lagayain tou khuch days mein hont naram aur gulabi ho jayain gey. Rozmara ke ghareelu kaam kaaj mein baish tar khawateen ke haath aur ungliyan khurdre ho kar phat jate hain aisay mein arq-e-gulab paraffin liquid hum wazan mila kar lagayain.
Agar pairon ki aayriyan phati hon tou paraffin liquid aur rose water ke markab mein hum wazan honey bhi mila lain paon naram ho jayan gey. Nail Polish ki wajah se agar nails par dhabay par gaye hon tou arq-e-gulab mein lemon ke few drops daal kar dho lain aisa karne se dhabay bhi khatam ho jayain gey aur nakhunon ki qudarti chamak bhi numayan ho jaye gi.
Eyes mein chamak paida karne ke liye rozana subah saweere aur raat ko sonay se pehle arq-e-gulab ke khuch qatre dalain takay computer ki shuaon ke muzar asrat se mehfooz reh sakain. Arq-e-gulab danton aur munh ki bimariyon ke liye nihayat sasti aur pur asar dawa hai.
Garmiyon mein amooman munh mein chalay ho jate hain is ke liye behtareen nuskha ye hai ke thore se garam water mein rose water shamil kar ke kuliyan karain, Arq-e-gulab ki taseer thandi hoti hai lihaza is se kuliyan karne se chalay khatam ho jayain gey aur agar masurhon mein sojan ho gi tou woh bhi door ho jaye gi.
Chamakte moti jese teeth kisay achay nahin lagte lekin agar danton mein achanaq dard shuru ho jaye tou ache bhale insan ko jhanjhor ke rakh deta hai. Dard se fori nijat pane ke liye aik khane ka chamcha long pees kar arq-e-gulab mein shamil kar ke danton par lagayain foran nijat mil jaye gi.
0 comments:
Post a Comment